Sheikhupura Mein Daketi ki wardat|AikJanbahaq| bazugr walid ko goli lagi .
DETAIL:
Sheikhupura mein Aj 13/09/2021 baroz Peer kay din rat 07 bajy kay kareeb sheikhupura ki masroof taren jagaha sharakpor road pay Star plus pharmacy
pay 2 afrad daketi ki garaz say ander dakhil howe or wo dakhal hoty sath counter k ander jany ki koshish krny lagy jis pay Medicial store k malik jis ka name Ali khan us nay unk sath mazahamat ki jis ki waja say moka 2 afrad jo daketi ki garaz say aye thy unho nay usko ko goli mar di jo k usk dil pay lagi. or usk sth bethy usk walid sahib ko tangg me goli mar kar moka say chor farar hony mein kamyab ho gaye or Nojawan Ali khan hospital jaty howe zakhmo ki tab na laty howe apny khalaq-e-haqiqi say ja mila. or usk walid sahb ki condition serious he or wo Sheikhupura DHQ mein admit hain.
![]() |
medicial store name and picture. |
![]() |
medicial store |
or Counter mein Bs 12 hazar rupya tha jis ko leny kay liye ye chor aye thy or moka par jab wo chor under dakhil howe to us time dukan mein 5 afrad thy jo es moka kay chasmadid gawah hain jinho nay apni ankhon k samany ye sab daikha he. Yahan apko btatta chalu jis jaga say waqya howa us ki back side pay Sheikhupura kay M.N.A Mian Javeed Latif sahib ka ghr or dukan ki back pay unka daira he. or jis dukan mein ye waqya howa wo b M.N.A mian javed latif sahib ki he.
Sheikhupura mein kafi dino say bike chori,mobile chori,or daketi jesy wqya ho rahy hain, jis par intzmiya khamosh tamashai bani hoi he or koi action nazar nahi ata, sheikhupura ki itmi masroof taren jagaha par aisa wqya ho jana aik lamiya he . sath waly dukan dar say bt krny par pata chala k wo Honda CD 150 Par aye thy unho nay apna face mask kay sath cover kiya howa tha jis ki waja say dukan mein lagy CCTV cmera mein unka face ana mushkil nazar aa rha he. moka par aye crime scene unit apni karwai complet krne me lagy hain or sabot akhta krne mein masroof hain. waha mojod Tamam logon nay D.P.O sheikhupura say modbana Guzarish ki he mulziman ko jldi sy jldi arrest kiya jaye or unko unk anjam ko pohnchya jaye.
![]() |
MAQTOL( ali khan with friends) |
moka par mojob chasmadid gawah mein say aik ka bayan;
moka par mojod aik 30 sal ka admi jis ny name raz mein rkhny par bayan dene ka kaha us nay btaya kay 2 afrad jo k honda cd 150 par store k smny aye or art sath white kpron wala jis nay red color ki cap dali hoi thi wo counter me dakhil howa or sida ja k counter par bethy ali k walid sahb say paisy mangy jis pay unho nay agay say muhazamt ki to us nay pistol nikal kar pehli goli chlai or chor counter sy bhir bhaga or phir ali nat tuol utha kr chor ko mara jis pay chor nay ali pay fire kiya wo ali k dil k karreeb laga or ali hosptl ja k apny khalid e haqiqi say ja mila.
M.N.A SHEIKHUPURA.
Comments
Post a Comment